Mayyat Pe Meri Ashhk Na Barpana Zaalim,
Ab Mein Phir Se Mehekne Ka Aarma Nahi Rakhta.
Keh Dena Duniyawaloon Se Kafan Na Pehnana Zaalim
Teri Bewafai Ke Andhere Ne Hi Mujhe Maara Hey.
Ruswa Nahi, Shikwa Nahi, Is Jahan Se Jaane Ka,
Hamein Garur He Gum-E-Abr Se Nikal Jaaneka.
Chaand Se Ishq Kar Chaand Ko Duboya He Zaalim,
Is Jahan Mein , Ab Koi Mohabbat Farmanein Ka Jajba Nahin Rakhta.
Hasrath Nahi, Sabab Nahi, Is Jahan Mein Phir Se Aane Ka,
Ya, Allah ! Hamein Afsos Nahi Is Darindagi Se Bhag Jaane Ka.
Tere Anjuman Mein Dastak Dena Kya Bhool Thi Zaalim,
Kaun Is Duniya Mein Manzil-E-Ishq Ki Tamanna Nahi Rakhta.
Ab Hosla Nahi, Himmath Nahi, Phir Se Akkhiya Ladane Ka,
Dub Gaya Hun , Doob Jaavoonga, Musafir Bangaya Hun Mitthi Ki Parchhayiyon Ka.