Mana Ke Pagal Hoon Deewana Hoon Main
Magar Tum Bhi To Darte Ho Izhaar Se
Kyun Churaate Ho Mujh Se Nazar Yun
Cheen Lena Chahta Ho Jaise Koi Zindagi Yaar Se
Har Lumha Tarasta Hoon Main To Teri Deed Ko
Kia Karon Pyaas Nahin Bujhti Aik Baar Ke Deedar Se
Banaya Hai Jis Teer Ka Tu Ne Nishana Mujhe
Ghayal Ho Gaya Hoon Tere Aik Hi Waar Se
Darta Hoon Waise Hi Main Tere Inkaar Se
Badal De Mere Ais Khuwaab Ko Haqeeqat Main Tu
Le Kabhi Mera Naam Tu Bhi Dil-E-Beqarar Se
Zakham Ais Dil-E-Nadan Ne Khaaye Hain Jitne
Bahut Bekhabar Hai Tu Abhi Un Ke Shumaar Se
Churaya Hai Dil Ka Peecha Jis Tarah Sakoon Se Main Ne
Tod Kabhi Tu Bhi Naata Apne Dil Ke Qaraar Se
Duniya Deewaar Banti Hai Humesha Pyaar Main Magar
Tera Saath Ho Jo To Tukra Jaye ” Asgher ” Ais Deewaar Se