Majoor Hai Kamzor Nahi Tu
Aurat Naam Hai Qurbani Ka
Bachpan Ki Woh Nani Kali
Dafna Dete The Kabhi
Reet Riwaaj Ne Aaj Bhi
Dafnaya Hai Phir Wahi
Pehnaya Hai Samaaj Ne Us Ko Kafan Badnaami Ka
Kahi Woh Sita Ban Ke Jali
Kahi Woh Marham Ban Ke Mili
Woh Indra Ghandhi Bhi Bani
Khitaab Main Us Ko Goli Hi Mili
Yeh Aurat Ka Naseeb Tha Ya Samaj Ka Khitaab Hai
Dahej Ka Karz Dekhar Bhi Pehnaya Kafan Us Se Hayewani Ka
Majboor Hai Kamzor Nahi Tu Aurat Naam Hai Qurbani Ka
Zulmon-O- Sitam Ke Aag Yeh
Kab Tak Sahe Yeh Kab Tak Jale
Jis Mard Ko Woh Paida Kare
Us Ke Kadmon Ki Us Se Thokar Hi Mile
Hukumat Ki Yeh Kaisi Reet Hai
Mard Se Hi Mile Us Se Jeet Hai
Jo Mard Us Ka Sauda Kare
Samaaj Main Us Ko Izzat Mile
Kahi To Hoga Kabhi To Hoga?” Asgher ”
Faisala Us Ke Haq Aur Pareshaani Ka
Majboor Hai Kamzor Nahi Jo
Aurat Naam Hai Us Qurbani Ka
Sab Kuch Sahe Kuch Na Kahe
Deti Hai Paigham Zindagani Ka……….