Kuch Lamho Pehle Ki Hi
Baat To Hai Ye Shayad.
Jab Main Samandar Ke
Kinare Baitha Kuch Sochta Hua
Ek Tasveer Bana Raha Tha Ret Pe
Shayad Main Janta Nahi Tha Ki
Ye To Bas Ik Nishan Hai Mere
Dil Ka Jo Pal Bhar Mei Hi
Lehro Se Mil Kar Goom Ho Jayega Kahin.
Par Main Apne Dil Ko
Samjhata Bhi To Kaise
Usne Laga Rakhi Thi Baazi
Samandar Ke Lehro Se Ki
Jitni Bhi Koshish Kare Wo
Mere Khayalon Ke Nishan Mitane Ki
Ye Ladta Rahega Sahil Par Pade
Ret Aur Sagar Ke Lehron Ke Beech
Aur Phir Se Ehsaas Karane Ko
Sagar Ko Uski Kamjori
Phir Se Baith Jata Hoon Sahil Par
Apne Pyar Ke Yaadon Ki
Tasveer Banane Ke Liye,
Soch Mei Pad Gaya Hai Ab Sagar Bhi
Mere Dil Ki Koshish Dekh Kar
Aur Ab Anth Mein Sagar Ne Keh Hi
Diya Ki Maaan Gaya Main Haar
Tere Dil Ki Chahat Se
Uski Zeed Se
Is Liye Mera Tujhse Ik Vaada Hai
Jab Tak Ye Duniya Rahegi
Tera Pyar Amar Rahega Mujh Mei Milkar
Mere Roop Mein Kyun Ki Main Anant Hoon
Aur Sheekh Doonga Duniya Ko
Pyar Se Rehne Ko
Tere Pyar Ki Koshishen Batakar