Khwabon Ke Ghode Par Jo Sawaar Ho Gaye,
Raah Ke Patthar Tak Unke Deewar Ho Gaye.
Tamanna Hai Maut Ki Par Itni Koi Khushi Bhi Nahi,
Pase-Manzar*Me Hame Khuda Ke Bhi Deedar Ho Gaye.

Ruton Ka Ye Aalam Hai Ki Na Pooncho Doston,
Chaman Ke Haseen Phool Bhi Sab Khaar* Ho Gaye.
Khalaa* Me Is Waaste Tiki Rahti Hain Nigaahen,
Suna Hai Zameen Ke Log Saare Bekaar Ho Gaye.
Jal-Jal Ke Mera Jo Khaak Ho Gaya Jism To,
Dil Me Basne Waale Bhi Angaar Ho Gaye.
Jo Har Waqt Chup-Chaap Hi Raha Karte The ‘Shaad’
Meri Ruswaaiyon*Me Unhi Ke Chehre Akhbaar Ho Gaye.
Pase-Manzar=beete Hue Kal Me..Guzra Zamana….
Khaar=kaante..
Khalaa=anant,Shoonya,Aakash..
Ruswaai=badnaami….