Kehte Hai Duniya Wale Kyon Qabr Mere Is Naye Makaan Ko,
Ye Naya Ghar Mera Taj Mahal Se Zyada Khoobsoorat Hai,
Sukun Mila Na Jeete Jee Mujhe Ek Pal Ka Us Duniya Mein,
Is Tanhayi Mein Maine Jannat Sa Sukoon Paaya Hai,

Wahan Jahan Pairon Tale Khud Apna Saaya Kuchal Jaata Tha,
Yahan Is Mitti Ki Chadar Ne Mujhe Kitna Aaram Dilaya Hai,
Na Yahan Pe Aansu Hai, Na Hi Gam-O-Dard Kisi Baat Pe,
Meri Maut Ne Mera Har Dard Bhulaya, Har Aansu Chhupaya Hai,
Us Duniya Ki Jagmagahat Mein Bheed Mein Bhi Tanhayi Thi,
Is Qabr Ke Sannaton Ne Aaj Kitna Shor Machaya Hai,
Khela Tha Jiske Aanchal Tale Mera Bachpan Us Maa Ne Ehsaan Kar Diya,
Qafan Ki Jagah Mere Chehre Ko Usne Apni Mamta Ka Aanchal Odhaya Hai,
Thak Jaate The Jab Qadam Bich Raah Mein, Qaandhon Pe Bitha Lete The,
Abbu Ne Mujhe Aakhri Safar Mein Apne Qaandhon Ka Sahaara Diya Hai,
Zindagi Ki Raahon Pe Jisne Ungli Pakadke Chalna Sikhaya,
In Qabr Ke Andheron Mein Bhi Aaj Unhone Rasta Dikhaya Hai, ,

Kaha Maine Na Jao Yahan Chhod Ke Mujhe Akela, Dar Lagta Hai Is Andhere Se,
Kya Karenge Wo, Jab Saanson Ne Hi Dhadkan Se Rishta Naa Nibhaya Hai,
Boli Maa, So Jaa Meri Bachhi Is Andhere Mein Tujhe Sadiyon Rehna Hai,
Haar Gayi Aaj Main, Isliye Farishton Ke Hawale Aaj Tujhe Kiya Hai,
Maine Kaha Maa, Aansu Na Baha Mujhe Dar Nahi Lagta In Andheron Se,
Samajh Lena Aapne Apni Bachhi Ka Ghar Basa Ke Use Vida Kiya Hai,
Gaye Ghar Mere Maa Aur Abbu, Gale Se Lagaya, Kaha Mujhe Khuda Hafiz,
Hafiz Ab Khuda Hai Sirf Mera, Meri Rooh Ka Wohi Rakhwala Hai,
Yaad Aati Hai Maa Ki God Jispe Sar Rakhke Har Raat Guzari Thi,
Is Sard Mitti Ki Chaadar Mein Maa Ki God Ki Thandak Samayi Hai,

Ye Kiski Aahat Hai Jo Badh Rahi Hai Meri Jaanib Dhire Dhire,
Na Jagana Mujhe, Maine Sadiyon Baad Apni Aankhon Ko Band Paaya Hai,
Kaise Sambhalun Main Is Bejaan Si Dhadkano Ko Angel,
Mera Sanam Mujhe Khoobsurat Gulabon Se Sajane Aaya Hai,
Jo Na Tha Waaqif Mere Kisi Dard Se Jab Main Saans Leti Thi,
Aaj Usne Meri Qabr Ko Na Jaane Kyon Ashqon Se Bhigoya Hai,
Ya Khuda Doob Na Jaaye Mera Ghar In Ashqon Ke Sailaab Mein,
Mere Ghar Ko Na Tabaah Karo, Yehi Mera Aakhri Thikana Hai…