Kal Ki Toh Baat Thi Kah Uthi Daadi
Mein Sambhali Aur Paas A Baithi
Aaj Shayad Koi Kahani Milegi
Maa Ki Shayad Koi Saheli Milegi
Daadi Nay Dekhi Meri Ankhon Mein Yachna
Woh Bhi Sambhali Aur Pukaar Uthi Archana
Aaj Mein Tujhe Ko Tujhe Say Milaoongi
Aaj Daadi Ki Nahin Nanhi Pari Ki Kahani Sunaoongi
Suntay Hi Mera Chehray Ka Rang Badala
Ankhon Mein Saj Utha Pariyon Ka Mela
Kya Hogi Us Pari Ki Sooraat
Sochti Thi Meri Ankhain Woh Moorat
Hansi Thi Daadi Ki Ankhon Mein Samaayii
Badh Kar Mein Daadi Ki Gaud Mein Samaayii
Pyar Say Tha Mera Maatha Chooma
Daadi Kay Haath Ka Pankha Tha Ghooma
Thandi Hawa Nay Meri Ankhain Moondi
Meinhi Nahin Sang Meri Nindiya Bhi So Di
Sapnon Kay Desh Mein Jhuli Thi Jhula
Bhoola Mujhe Daadi Ka Pankha Bhi Bhula…