Kahan Tha Aur Kahan Chala Aya
Kuch Paane Ke Liye Bahut Kuch Kho Aya
Kuch Udhas Chehre
Kuch Aansuon Me Doobi Aankhen
Khud Bhi Roya Aur Sab Ko Rota Chod Aaya
Kitna Kuch Kehna Tha, Kitna Sun Na Baki Tha
Kuch Kehte Kehte Kuch Sunte Sunte
Bas Unhi Me Apne Angan Se Uth Aaya
Kuch Pal Dard Ke Aur Kuch Pal Khushi Ke
Pal Pal Me Chupa, Ek Jeevan Chod Aaya
Jeevan Ki Is Nirantar Daud Me
Ek Pal Jab Thak Ke Baith Gaya Main
Aur Peeche Mud Ke Dekha To
Kabhi Apne Ghar Me
Kabhi Kise Modh Pe
Kabhi Doston Ki Mehfil Me
Kahin Ma Ki Lori Me
Kahin Pita Ke Baton Me
Kitne Hisso Me Khud Ko Baant Aaya
Bahut Si Yaadein Bahut Si Duaein
Kuch Sapne, Aur Kuch Koshishe
Yahi Saman Main Apne Sath Laya
Aur Jab Aaj Hisab Lagaya To
Thoda Sa Jeeta Aur Dekho Kitna Haar Aya
Kuch Pane Ke Liye Bahut Kuch Kho Aya