Kabhi Aajmaish Me Jeete Rahe,Kabhi Tanhayii Mein
Aye Jindagi Ham Teri Bewafii Me Jeete Rahe
Durr Ho Kar Bhi Durr Na Rahe,
Paas Ho Kar Bhi Unke Paas Na Rahe
Mohabbat Ka Yahi Usool Hai,
Unki Is He Safai Me Jeete Rahe
Kehne Ko Thi Bohot Kuch,
Phir Bhi Na Keh Pane Ke Dard Me Jeete Rahe
Na Inkar Kiya Unho Ne,Na Hi Ikrar Kiya,Phir Bhi Ham Kyun Chup Rahe,
Unki Is Ruswayii Ka Dard Bhi Peete Rahe
Unho Ne Bhi Shayad Wafa Karni Chahi Hogi…
Par Hamari Kismat Me Bewafai Ka Hi Saath Raha
Phir Bhi Jo Kuch Lamho Ka Sath Raha Unka…….
Us Pal Ko Hi Dhaga Bana Kar Aapni Gamo Ko Seete Rahe
Aab Na Shikwa Karte Hai , Na Shikayat
Jo Waqt Mil Jaye,To Aapni Yaado Ki Ibaadat Karte Hai
Aur Jindagi Ke Bare Me Kya Kahe,Bas……….
……..Kabhi Aajmaish Me Jeete Rahe,Kabhi Tanhayii Mein
Aye Jindagi Ham Teri Bewafii Me Jeete Rahe