Jo Dekhen Unhe To Armaa.N Machal Jaate Hain,
Jazbat Ab Ghut-Te Nahi Kalam Se Nikal Jaate Hain.
Unki Talash Me Hum Sadiyon Ke Bhi Safar Kar Lein,
Suna Hai Raste Hi Kabhi Chup-Chaap Badal Jaate Hain.

Mere Haale-Tabah Se Bas Ek Tu Pashemaa.N Na Hua,
Yoon Raqibon Ke Bhi Dil Meri Haalat Se Pighal Jaate Hain.
Wo Maut Bhi Khoob Hogi Jo Mahboob Ke Pahloo Me Ho,
Shayad Yahi Soch Ke Shama Se Parwane Jal Jaate Hain.
Shabab-O-Sharab Me Bas Ek Harf Ka Farq Hai Lekin,
Ek Ujaad Deta Hai To Dooje Se Bahal Jaate Hain.
Roshni Ki Talab Me Ek Baar To Aashiyana Jala Chuke,
Mehtab Chehron Se ‘Shaad’ Ab Khud Sambhal Jaate Hain..