Jiski Talash Mujhe Bhtkati Rahi,
Chah Mai Khud Ko Jalati Rahi
Wo Sukh To Kabhi Tha Hi Nahi
Besbab Un Pathrili Rahon Par Chalkar
Khud Ko Zakhmi Banati Rahi,
Kabhi Girti Kabhi Samhal Jaati
Samhal Kar Chalti To Kabhi Larkdhati
Larkhdate Kadmo Ko Dekh Log Muskarate
Koi Kahta Shrabi To Kaee Pagal Bulate
Par Koi Na Hota Jo Mujhe Samhal Pata
Gire Dekhkar Apna Haath Badata
Jiski Talash Mai Khud Ko Girati Rahi
Wo Sukh To Kabhi Tha Hi Nahi
Adhure Ehsas K Saath Main Chalti Rahi,
Milan Ki Aas Liye Kal Kal Bahati Rahi
Kabhi Kisi Jheel To Kabhi Nahar Se Mili ,
Kabhi Jharne Mai Milkar Sang Sang Giri
Mila Na Wo Jo Mujhme Milkar Mujhe Sanware
Mere Roop Ka Sirngar Kar Ise Aur Nikhare
Jiske Liye Main Apne Wajood Ko Mitati Rahi
Wo Sukh To Kabhi Tha Hi Nahi
Ye Aansu Bhi Kitne Bewafa Hai
Muskarane Ki Kosish Bekar Kiye Dete Hain,
Lakh Socha Ki Ban Jaaun Gahri Nadi
Har Dukh Apne Mai Sama Kar Bhati Chulun
Ye Barish Ki Bundo Ka Aakar Diye Dete Hain