Jinke Labon Par Hota Thaa Naam Hamara
Ab Un Par Hamari Wafao Ka Asar Nahi Hota
Jaane Kya Baat Hai Zikar Mera Ab Unke Labon Per Nahi Hota
Kaha Thaa Unhone Nibhayenge Jindagi Bhar Ka Saath
Par Chal Na Sake Do Kadam Bhi Mere Saath
Ab Toh Tanaha Jinadgi Ka Safar Yun Nahi Katata
Maaus Hun Apne Dile A Halat Se Main
Par Meri Tabahai Ka Bhi Un Par Asar Nahi Hota
Jaane Kya Baat Hai Ab Zikar Mera Unke Labon Per Nahi Hota
Dekhe Toh They Jo Kahawab Sunahere
Woh Khawab Haqikat Bante Hi Tut Gaye
Ulajh Si Gayi Hai Jindagi Meri Ajab Se Hadaso Mein
Kyu Yeh Uljhan Bhara Safar Ab Jindagi Ka Khatam Nahi Hota
Jaane Kya Baat Hai Zikar Mera ………..
Chippaya Thaa Unko Apne Haato Ko Lakeeron Mein
Ab Un Haatho Ki Laakeeron Mein Bhi Unka Basar Nahi Hota
Taamam Raat Yaad Kiya Unko Hamne
Lete Rahe Honge Woh Bhi Hichkiyaan
Kya Anke Khawabo Mein Ab Hamara Rah Gujar Nahi Hota
Jaane Kya Baat Hai Zikar Mera…………..
Banaye They Maine Shayad Rait Mehal
Jo Waqt Ki Aandhi Mein Kahi Tut Gaye
Kyu Yeh Uljhan Bhara Safar Meri Jindagi Ka Khatam Nahi Nahi Hota
Jaane Kya Baat Hai Ab Zikar Mera……….
Jo Aa Jaate They Sun Ke Meri Ek Pukaar
Unke Dil Ke Baj Uthte They Taar……….
Naam Lete They Ham Yahan Unka
Dil Wahan Unka Dharak Jaata Thaa
Beqarar Karke Hame Tab Hi Unka Dil Chein Paata Thaa
Kya Ab Yun Dil Ke Besabab Dharkane Ka Bhi Un Per Asar Nahi Hota