In Aank’hon Ke Liye Ek Ummeed Ek Fasaana De Doh,
Yeh Ho Gaya Be-Imaan Doosra Koi Zamaana De Doh,
Maghrib Seh Az^aan-E-Faj’r Chuptaa Phir Raha Hoon,
Yeh Sheher Hua Bewafa Doosra Koi Thikaana De Doh,

Har Mohalley Mein Ban Gaye Hain Mere Raqeeb Abh,
In Logo.N Koh Mere Sar Ka Nayaab Naz’raana De Doh,
Mehelo.N Ki Toh Humne Khwaahish Kabhi Nahi Ki Thi,
Logo.N Ne Socha Isey Gham Ka He Khazaana De Doh,
Daal Doh Ek Shaamiyaana Mere Ghar Ke Saamne Ab,
Ya Ho Saka Toh Mujhe Jeena Ka Koi Bahaana De Doh,