Hum Dete Rahe Hain Unko Ilzaam,
Ghamzada Wo Bhi Hote To Honge.
Kabhi Kabhi Dard Ki Hadh Se Tadapkar,
Bilakh Bilakh Kar Wo Bhi Rote To Honge.
Kabhi Unki Neenden Udayi Thi Humne,
Bhala Ab Woh Kahan Chain Se Sote Honge.
Kabhi Unpe Bhi Dil O Jaan Se Marte The Hum
Aaj Wo Meri Tarap Mein Karwat Badalte To Honge
Zindagi Se Tang Aakar Wo Bhi Kabhi,
Khuda Ko Dil Se Koste To Honge.
Hum Jo Likhte Hain Yeh Betuke Naghme,
Chori Se Hi Sahi, Kabhi Padhte To Honge.
Duniya Jo Khel Khele Jaa Rahi Hai Humse.
Kabhi Is Par Afsos Jataate To Honge.
Hume To Dikhta Nahi Hai Aakhir-E-Shab Aaj,
Par Unke Ghamo Ke Savere Zarur Hote To Honge.