Har Haath Main Mazhub Kay Parcham
Har Aankh Main Wehshat Ka Junoon
Lub Pay Hain Nafraton Kay Sholay
Khyaalon Pay Ik Aawaaraa Fusoon Fusoon-Jaadoo
Ik Zehar Ka Baadal Fazaa Pay Chaayaa Hai
Khumaar-E-Ghaphlat Phir Zehanon Pay Aayaa Hai
Har Nighaah Main Bus Ik Swaal Ki Bu
Hindu Ki Aulaad Hai Ya Muslim Hai Tu
Tarak Subnay Kiyay Viraasat Kay Khazaanay
Woh Nanak Ki Wehdat Kabir Kay Taraanay
Kahin Talwaarain To Kahin Trishool Aayaay
Sadion Ki Pehchaanain Sub Bhool Aayaay
Bhai Ko Bhai Kay Qatl Ki Pyaas
Namoon Har Samt Yahi Ghurbat-E-Ahsaas Namoon-Prakat
Lahu Phir Apnay Hi Lahu Say Laraa Hai
Waqt Phir Sehmaa Saa Ik Aur Ja Kharaa Hai
Abhi To Bhray Bhi Na Thay Zakhm Tam_ddun Kay (Tam_ddun- Civilisation)
Abhi To Bhoolay Bhi Na Thay Woh Aleel Ayaam (Aleel Ayaam-Beemar Din)
Darinda Insaan Main Uthaa Tha Yeh Abhi Kal Ki Baat Hai
Aadam Khud Bika Tha Yeh Abhi Kal Ki Baat Hai
Aur Aaj Phir Utraa Hai Afreet-E-Wehshat (-Wehshat Ka Daanav)
Aur Phir Say Lagaayay Hai Chehraa Mazhub Ka
Phir Say Hai Hujoomon Pay Ik Shauq-E-Bekaar
Phir Say Banaa Mazhub Bahaanaa Nafrat Ka
Kab Talak Paighambar Yoon Neelaam Karogay?
Kab Talak Latkaingay Masihay Saleeb-E-Yaas Par? Yaas -Dukh
Kab Talak Pinhaan Insaan Qattl Hogaa? Pinhaan-Chupaa
Kab Talak Pashymaan Karogay Apnaa Wazood?
Kab Talak?