Hanstay Hanstay Aaj Aashiyaan Woh Humara Jalatay Rahaye
Dekh Ker Humain Baybas, Woh Kharay Muskaratay Rahaye
Jaltay Hoye Aashiyanay Ki Raakh Liye Haathoon Main
Woh Ghantoo Bethay Uraatay Rahaye
Dil Roota Raha Zaar Zaar Apni Baybasi Per
Woh Bhi Mazeed Humara Dil Tarpaatay Rahaye
Zakham Denay Ki Adat Thi Unko Har Morr Per
Humara Shauq Tha Hum Bhi Zakham Khatay Rahaye
Ek Ghazal Zamanay Se Chup Ker Unkay Naam Lekhi
Hanstay Hoye Woh Ghazal Bhi Zamanay Ko Sunatay Rahaye
Mohabbat, Wafa , Qasmain Kuch Nahi Aaay Doost
Choout Khanay K Baad Hum Unhain Samjhaatay Rahaye
Kabhi Jo Sahil Per Tanha Bethay Dekha Unko
Daur Se Bohat Dair Tuk Hum Pukaartay Rahaye
Jahan Dekha Mera Saaya Unho Ne
Kisi Ajanbi Ko Doost Kah Ker Bulatay Rahaye