Hanse Ka Hasaane Ka Hunar Dhoond Rahe Hai,
Hum Log Duaaon Ka Asar Dhoond Rahe Hain.
Ab Hume Koi Thor Thikaane To Lagaaye,
Ghar Me Hain Magar Apna Hi Ghar Dhoond Rahe Hain.
Jab Paanv Salaamat The To Raaste Me Pade The,
Ab Paanv Nahi Hai To Safar Dhoond Rahe Hain.
Kuch Log Abhi Tak Andhere Me Khade Hain,
Kuch Chai Ke Pyaale Me Gadar Dhoond Rahe Hain.
Kya Jaane Kisi Raat Ke Seene Me Chipa Ho,
Sooraj Ki Tarah Hum Bhi Sehar Dhoond Rahe Hain.
Halat Bigdane Par Nai Manjile Dekhein’nash’
Sukrat Ke Hisse Ka Hum Jehar Dhoond Rahe Hain.