Haan Humne Bhi Ki Thi Ishq Ki Shuruaat Kabhi,
Haan Humne Bhi Karni Chaahi Thi Kisi Se Mohobbat Kabhi,
Magar Shuruaat Se Pehle Hi Ishq Ka Ant Ho Gaya,
Mera Dil Gumo Ke Bhanvar Mein Kho Gaya,
Uski Har Ik Baat Anokhi Aur Niraaali Thi,
Maine Bin Dekhe Hi Uski Tasveer Apne Dil Mein Bana Daali Thi,
Karti Rehti Thi Baatein Us Se Bin Kiye Waqt Ka Ehsaas,
Na To Phir Subah Ka Aur Na Hota Tha Raat Ka Aabhaas,
Woh Tha Samajhdaar Aur Tha Nek Seerat,
Isi Liye Na Chhupaayi Usne Koyi Haqueekat,
Kya Karoon Bayaan Uske Guno Ko, Ke Ye Uski Tauheen Hogi,
Uske Liye Mere Dil Mein Izzatt Kabhi Kamm Na Hogi,
Usne Kiya Hai Faisla Apni Zindagi Ko Doosro Ke Liye Bitaane Ka,
Isi Liye Na To Khabar Hai Use Apni Sehat Ki Aur Na Hosh Hai Apne Khaane Ka,
Kya Hua Agar Woh Mujhe Na Mil Paaya, Mera Dost To Woh Sadaa Rahega,
Jahaan Bhi Jaaye Chaahe Woh, Mera Khuda Pal Pal Uske Saath Chalega,
Kyunki Pyaar Naam Hai Aatmaaon Ke Milan Ka Naa Ki Jismo Ka,
Khuda Ne Use Bakshaa Hai Roop Na Jaane Kitni Kismo Ka,
In Kismo Ka Kya Kahoon Ki Roop Anek Hain,
Kabhi Sachha Dost, Kabhi Sachha Aashiq, To Kabhi Rakhwala Woh Nek Hai,
Usne Kaha Yeh Zindagi Uski Doosron Ki Amaanat Hai,
Kyunki Ye Karm Hi Uske, Is Jail Roopi Duniya Se Nikal-Kar Khuda Se Milne Ki Zamaanat Hai,
Uski Salaamati Ke Liye Dua Khuda Se Din Raat Hum Karte Hain,
Uski Zindagi Ki Hifaazat Ki Khaatir Apni Zindagi Ka Ek-Ek Saal Kam Karte Hain,
Maanti Hoon Jo Milta Hai Kismat Aur Karmo Se Milta Hai,
Maanti Hoon Jo Bhi Karta Hai Khuda Bhale Ke Liye Karta Hai,
Magar Hum Kabhi Bhi Uski Yaadon Ko Dil Se Na Nikaal Paaenge,
Jab Bhi Yaad Aayegi To In Band Aankhon Se Ashq Beh Jaaenge………….