Ghayal Kiya Jab Apno Ne,To Gairon Se Gila Kya Karna .
Uthaaye Hain Khanjer Jab Apno Ne, To Zindagi Ki Tamanna Kya Karna
Dil Tha Ik Kanch Ka Ghar ,So Aakhir Wo Bhi Toot Gaya .
Qismat Main Likhey Hain Jab Gum ,To Khuda Se Gila Kya Karna

Taraste Rahi Zindagi Bhar Jin Sachey Rishton Ke Liye .
Jab Unhon Ne Hi Thukra Diya, To Gairon Se Tawaqo Kya Karna
Jis Ko Samjha Tha Apna, Jis Ko Banaya Tha Apna Raazdaan.
Usi Ne Jab Dil Tor Diya, To Gair Ko Apna Kar Kya Karna
Muskurana Jo Bhool Gaye Hont To Kya Hua .
Gum Ko Bana Liya Hai Apna, To Muskura Ke Ab Kya Karna