Gham Itne Mile Hai Zindagi Main,
Ke Ab Khushi Ka Chehra Tak Yaad Nahi
Khayi Hai Itni Thokare Humne,
Ke Ab Wo Zakhm-E- Nasur Tak Yaad Nahi
Berang Huwe Hai Sab Rang Kuch Aise,
Ke Kumkum Ka Rang Tak Yaad Nahi
Jo In Hatho Main Lagi Thi Kabhi,
Wo Mehndi Ki Mehek Tak Yaad Nahi
Sirf Khamoshi Baki Reh Gayi Hai Es Ziist Main,
Ke Ab Chudiyo Ki Khanak Tak Yaad Nahi
Baharo Se Ab Rishta Kaha Hai,
Koyal Ki Chahek Tak Yaad Nahi
Yaha Logo Ke Chehre Pe Dekhe Hai Aise Naqab,
Ke Ab Apna Aks Tak Yaad Nahi
Chand Musafiro Se Huwi Thi Mulaqat Safar Mein,
Ab Wo Rasta Wo Rehguzar Tak Yaad Nahi
Kuch Aisi Udasi Cha Gayi Hai In Aankho Main,
Ke Ab Baharo Ke Nazare Tak Yaad Nahi
Khel Khele The Humne Bhi Kayi Bachpan Mein,
Par Aaj Wo Pal Tak Yaad Nahi
Ujde Hai Kayi Aashiya In Ankho Ke Saamne,
Ke Ab Kisi Chidiya Ka Gharondha Tak Yaad Nahi
Basayi Thi Humne Jo Khawabo Ki Basti,
Wo Kis Tarha Se Ujdi Ye Tak Yaad Nahi
Sapne Kuch Es Kadar Tute Hai Es Shaher Main,
Ke Ab Koi Arzoo Tak Yaad Nahi
Ek Umr Guzar Gayi Hai Ab Toh,
Koi Guzri Justuju Tak Yaad Nahi
Andhero Se Jud Gaya Hai Kuch Rishta Aisa ,
Ke Ab Shama Ki Wo Roshni Tak Yaad Nahi
Suna Hai Kamsin Ko Bhi Shokh Tha Ujalo Ka,
Par Ab Toh Koi Diwali Tak Yaad Nahi