Ek Buri Aadat Seh Peecha Chudaaney Ki
Laakh Koshish Ki Magar Peecha Choot Taa He Nahi.
Magar Jab Duniya Seh Rukhsat Ho Tab Zamaana
Tumhe Aadatan Apnaa Letaa He Hain

Us.Sey Ladney Ki Dil Mein Ek Justajoo Rahi,
Magar Zindagi Bhar Woh Badh_khoo Rahi,
Na_kaam-E-Zindagii Huye Ham Toh Aakhir,
Us Sey Peecha Chootey Yehi Aarzoo Rahi,
Hum Bhi Ban Naah Chaahey Khuda Parast,
Sadaa Humko Gherey Huye Badh Rooh Rahi,

Ladey They Hum Taa_umr Aabroo Ke Liye,
Aaj Meri Zindagi He Kyun Be_aabroo Rahi,
Kamyaabi Humse Aaye Milney Yaaron,
Pehley Shahar Mein Iski Guft-‘agoo Rahi,
Turbat Meri Banaayi Jab Yahi Zamaaney Ne,
Be_jaan Kafan Mein Bhi Khushboo Rahi,
Aashiq, Akbar, Aadil Sabhi Aaye Mere Dar,
Duaaen Kabool Hone Ki Shahar Mein Loo Rahi.