Ek Aainaa_seemaa Dekh Jo Bahak Gaya Tha,
Woh Ishq Hi Tha Mera Koi Khummar Nahi.
Yere Baazeecha-E-Ishq Ne Kuch Is Tarah Jakda,
Ki Ho Paayi Rooh Meri Bhi Faraar Nahi.
Teri Hi Bazm Me Aakar Giriyata Hun Main,
Kya Karun, Rone Par Mera Ikhtiyaar Nahi,
Cheekhta Hoon Tanhaayi Mein Hi, Ke Shor Na Ho,
Phir Nikalta Kyon Dil Se Tera Ghubaar Nahi.
Dil Mera Marta Hai Roz Qatra-Qatra,
Dekhi Isne Na Jane Kab Se Bahaar Nahi.
Ahal-E-Qaram Mil Hi Jata Hai Koi Roz,
Phir Bhi Kyon Mujhe Qaraar Nahi ?
Mujhe Qaza Se Shikwa Kuch Is Qadar Hua,
Ki Ab Raha Khuda Par Hi Aitbaar Nahi.
Ghamon Ne Is Tarah Sikhayi Bandagi Mujhe,
Ki Mai Ab Raha Khushi Ka Parastaar Nahi.
Zindagi Ne Kuch Is Tarah Hara Dala Mujhe,
Ki Ab Raha Maut Ka Bhi Intezaar Nahi.
Galti Bas Itni Hi Hui Mujhse Aashnaai Me,
Ki Sirf “Saher” Hi Hun Main, Koi Aalee_guhar Nahi.