Duniya Mein Humein Laya Gaya Tha Bede Zor – O – Sor Ke Sath,
Ab Ese Hum Chode Ja Rahe Hai Aahista Aahista
Jo Kal Tak Kiya Karte The Dawah Hamari Qarabat Ka
Wahi Aaj Daman Samete Ja Rahe Hai Aahista Aahista
Har Ek Ghum Ko Humne Saha Samaj Kar Aakhri Lekin
Ye Silsila To Badhta Hi Ja Raha Hai Aahista Aahista
Ek Ek Sapne Chun Kar Sajaya Tha Aasmaa
Wo Khwab Bhi Bikharte Ja Rahe Hai Aahista Aahista
Bohot Koshish Ki Humne Muskurane Ki Lekin
Dard Chehre Se Tabassum Le Ja Raha Hai Aahista Aahista
Tinka Tinka Jod Ke Banaya Tha Ek Aashiya Humne
Hawa Use Bhi Bikhre Ja Rahi Hai Aahista Aahista
Saamna Karne Nikle The Zindagi Ka Zor Ke Sath
Ab Apne Hi Hosla Tode Ja Rahe Hai Aahista Aahista
Bade Mushqil Se Banaye The Jo Rishte Humne
Sukhi Ret Ki Tarha Hath Se Phisalte Ja Rahe Hai Aahista Aahista
Kalam Juhi Rakhdi Kamsin Tune Kagaz Par
Sher Khud Mukammal Huwe Ja Raha Hai Aahista Aahista