Duniya Ka Har Gham-O-Sitam Uski Taqdeer Mein,
Usey Kya Kahe, Dam He Nahi Meri Tadbeer Mein,
Tadbeer=advice
Zillat Be_rukhi Be_muravvat Ka Woh Hua Shikaar,
Har Raah Chalney Ki Taakat Hain Nahi Ajeer Mein,

Ajeer= Musaafir
Zanjeeron Mein Rakha Hain Ghaibaan Mein Usey,
Kya Koi Farq Hain Bataao Usme Aur Aseer Mein,
Aseer= Prisoner
Khiraadon Ki Bazm Mein Usey Daavat Nahi Miley,
Usey Koi Muzda Sunaaye Dam Nahi Basheer Mein,

Muzda= Good News, Basheer= Messenger Of Good News
Ummeed Woh Karey Bhi Kisi Seh Toh Bataao Kaise,
Ho Khushi Likhi He Nahi Jab Haaton Ki Lakeer Mein,
Ahal-E-Aalam Ke Dil Mein Muravvat Laaye Hum,
“Saqib” Dum Itna Bhi Nahi Apni Taehreer Mein.
Ahal-E-Aalam=people Belonging To This World
Taehreer= Writing