Dum Nikal Jaaye Kab Aadmi Ka
Kuch Bharoosa Nahi Zindagi Ka
Yeh Duniya Ek Saraaye Hay
Jo Aaj Aaye Woh Kal Jaaye
Na Apni Zindagani Pe Koi Bhi Naaz Farmaye
Hilaako Khan Baqi Hay Na Ab Changaiz Baqi Hay
Na Ab Khaqaan Baqi Hay Na Ab Parvaiz Baqi Hay
Bas Unka Naam Zinda Hay Bas Unka Khuwab Baqi Hay
(Hilaako, Changaiz, Khaqaan, Parvaiz=all R Historical Personalities)
Jo Shah-E-Waqt Thay, Kal Dakhal Tha Jinka Hukumat Mein
Kafan Oorhay Paray Hain Apni Qabar Ki Tanhayi Mein
Qaza Ka Samnay Kab Insan Ka Zaur Chalta Hay
Uskay Samnay Kab Kisi Ki Zindagi Ka Deep Jalta Hay
(Qaza=maut)
Na Ho Magroor Aay Insan Apni Zindagani Per
Qaza Aayi Tu Phir Jana Paray Qabar K Andar
Na Izat Kaam Aaye Gi Na Daulat Kaam Aaye Gi
Jo Kuch Kaam Aayegi Tu Bas Ebadat Kaam Aaye Gi
Kiye Ja Kaam Achay Naikiyoon Se Jhooliya Bhar Lay
Wohan K Wastay Allah K Dil Mein Jagah Karlay
Chor Day Tu Raata Badiii Kaa
Kuch Bharoosa Nahi Zindagi Kaa
(Badii=buraayi, Bura )
Tere Dil Mein Hawis Hay
Arzo-E-Shaan-O-Shaukat Hay
Yeh Teri Bhool Hay Naadaan
2 Din Ki Yeh Teri Daulat Hay
Tujhay Afsana-E-Qaroon Ab Tuk Yaad Tu Hoga
Woh Zalim Banda -E- Maloon Yaad Tu Hoga
Kisi K Pas Kia Hogi Jo Uskay Pas Thi Daulat
Magar Jab Mar Gaya Tu Chor Ker Sab Hogya Rukhsat
(Qaroon=historical Personality, Who Has Sab Se Zaida Daulat At That Time..Mashoor Hay K Qaroon Ka Khazana Mil Gaya Kia)
Tujhay Shadaad Ka Anjaam Ab Tuk Yaad Tu Hoga
Banaaye Khuld Tu Ek Paaon Andar Ek Bahar Tha
(Shadaad=person Who Made Virtual Jannat On Earth, Khuld=refer To Jannat, Heaven)
Qaza K Samnay Firoon K Sur Hogya Neecha
Kia Dawa Khudayi Ka Tu Behar-E-Neel Mein Dooba
(Firoon=king Of Egypt Jis Ne Khuda Honay Ka Dawa Kara Tha)
Qaza Ne Har Sitamgar Aur Har Mardood Ko Maara
Banaayi Ek Shakal Machar Ki Aur Namrood Ko Mara
Sanbhalna Hay Tu Rakhna Yaad Meri Is Naseehat Ko
Na Jeetay Ji Tu Kabhi Bhoolna Roz-E-Qayamat Ko
Fana Hona Hay Tujh Ko Aur Fana Hojaye Ga Ek Din
Yeh Duniya Chor K Qabar Mein Tu So Jaaye Ga Ek Din
Akhri Ghar Yehi Hay Sabhii Ka
Kuch Bharoosa Nahi Zindagi Ka
Bura Mat Maan Kehta Hoon Bhalay Ki Aay Mere Bahi
Tu Daulat Pe Akarta Hay Yeh Daulat Kiskay Kaam Aayi
Behkta Ja Raha Hay Pee K Jaam-E-Aaish-O-Ishrat Ko
Bhula Betha Khuda Ko Poojta Hay Maal-O-Daulat Ko
Khuda Ko Yeh Tera Naaz-O-Garoor Acha Nahi Lagta
K Dil Kaala Ho Tu Chehray Pe Noor Acha Nahi Lagta
Karay Ga Kaam Tu Acha Tu Acha Naam Bhi Hoga
Tu Acha Hay Tu Phir Acha Tera Anjaam Bhi Hoga
Agar Tu Mar Gaya Ahbaab Tere Kaam Aayengay
Teri Arthi Uthaayengay Teri Miyyat Uthaayengay
Tu Hindu Hay Tu Shamshaan Mein Tujh Ko Jalayengay
Tu Mulsim Hay Tu Tujh Ko Qabar K Andar Sulaayengay
Jawani Ka Bharoosa Kia Jawani 4 Din Ki Hay
Humari Kia Sab Hi Ki Zindagani 4 Din Ki Hay
Agar Tu Aqal Rakhta Hay Agar Tu Giyaan Rakhta Hay
Tu Aay ~tabish Tu Kyon Marti Hoye Duniya Pe Marta Hay
Khail Hay Yeh Ghari Do Ghari Kaa
Kuch Bharoosa Nahi Zindagi Kaa
Dum Nikal Jaaye Kab Aadmi Kaa
Kuch Bharoosa Nahi Zindagi Ka
Suno Ji Kuch Bharoosa Nahi Zindagi Ka