Door Ek Ghar Ke Angan Mein Bachon Ki Kilkari Sunti Hoon
Unke Bachpan Mein Apna Bachpan Dhooondti Hoon
Jo Naa Jane Kahan Kho Gaya Hai.
Ma Ka Pyaar Dhoondti Hoon, Jisse Kho Chuki Hoon
Who Aanchal Nahi Hai Aab, Jo Har Ghum Se Mujhe Bacha Sake.
Baba Ki Danth Doondti Hoon, Jo Galti Hone Par Padhti Thi.
Woh Bahen Doondti Hoon, Jo Har Toofan Se Mujhe Bacha Leti Thi.
Jo Mera Sahara Thi.
Mera Angan Kahan Hai, Mera Woh Bachpan Kahan Hain
Koi Doond Ke Lado Mere Uss Bachpan Ko.