Do Ghont Dard Tumne Abhi Piya Nahi,
Duniya Ko Dard Ka Darshan Samjane Lage?
Ek Chingari Ko Chukar Bi Dekha Nahi,
Kapde Faadkar Majnu Hii Ban Jane Lage..
Yaha.N Gamon Ki Surahiya.N Khali Kar Di,
Peene Ko Taiyaar, Ishq Ka Zaher Abhi Bakhi Hai..
Lapeto Main Gire Rahe Zindagi Ber Hum Toh
Aane Ko Phir Kaun Sa Kehar Abhi Bakhi Hai??
Tumne Toh Ishq Ka Udaya Hai Mazak Hi,
Per Ishq Koyee Khelne Ki Cheez Toh Nahi Hai.
Ek Haqikat Judayee Ki, Milan Ki Saugaath Hai,
Ruhon Ki Sergam Hai, Tamasha Geet Toh Nahi Hai..
Par Tumhara Jajbaath Se Kaha.N Rishta Nibha Hai,
Dard Ke Samandar Se Kaha.N Lehar Abhi Bakhi Hai..
Ishq Ki Minaron Ke Is Paar Andhera Hi Andhera
Din Nikhalne Ko Toh Kayee Pehar Abi Bakhi Hai..
Jo Mil Jaye Jaam Main Wahi Toh Peena Hoga,
Jaisii Bi Mili Hai Zindagi Waise Hii Jena Hoga
Ek Suyee Vishwaas Ki Aur Dori Aasha Ki,
Fate Huye Sapno Ko Essee Se Hii Ab Seena Hoga
Kalikh Bari Kotari Naseebon Ko Rothi Rahi
Jiske Naseeb Main Aane Ko Sehar Abhi Bakhi Hai
Chav Mile Ya Dhoop Mile Chalte Hii Rehna Hai,
Manzil Bahut Hai Dhoor, Lamba Safar Abhi Bakhi Hai..
Barbaad Ho Chuka Zamane Main Apnapan Bi,
Chal-Kapat, Swaarth Aur Brashtachaar Ki Mar Se
Aap Kya Rote Baite Hai Yaha.N Dukhda Apna,
Yaha Toh Es Dariya Ki Ek-Ek Bhoond Bimaar Hai
Us Bimari Ki Maar Se Bacha Hua Parantu
Meri Kalpanao Ka Ek Shehar Abi Bakhi Hai..
Ab Bi Laut Kar Aa Sakhte Hai Waha.N Se Aap
Aapke Bi Dil Main Milne Ki Chah Agar Abi Bakhi Hai..!!