Dil Unki Ek Nazar Ka Talab^gaar Ho Gaya,
Yeh Kis Nashe Mei.N Giraf^taar Ho Gaya,
Mere Palakein Jhapakti Nahi Jisey Dekh Kar,
Aankhon Ki Raunak Unka Singaar Ho Gaya,

Gham Toh Na They, Na They Koi Bhi Khushi,
Woh They Door, Ya Door Sansaar Ho Gaya,
Jazbaa-E-Dil Mera Ab Lagta Hain Ek Tarfa,
Meri Dhadkano Par Unka Inkaar Ho Gaya,
Sochkar Toh Na Koode They Is Daldal Mein,
Apni He Talwaar Ka Khud Shikaar Ho Gaya,
Awaara Tha Dil Mera Unse Milne Se Pehele,
Shafa Jiski Nahi Main Aisa Beemaar Ho Gaya,
Be-Rukh Thi Zindagi Jab Mohabbat Shuru Huyi,
Kahaani Mein Gham Ka Mera Kirdaar Ho Gaya,
Girtaa Rahaa Main Mohabbat Ki Raaho Mein,
Haarta Dekh Dushman Bhi Hoshiyaar Ho Gaya,
Kuch Apnaa Tha Pehele Toh Sirf Apni Zindagi,
Aaj Unke Khaatir Marne Koh Tayyaar Ho Gaya,
Unhe Bewafaa Na Kaho, Hume Bewafa Na Kaho,
Na Huyi Mohabbat, Bas Iska Deedaar Ho Gaya,
Doli Chadne Ki Khwaahish Mein Unki Raah Dekhi,
Aaj Muskuraakar Janaaze Mein Sawaar Ho Gaya,
Mohabbat Karke Kyun Apne Dil Koh Tadpaaye,
Unse Nahi Aaj Hume Tanhaayi Seh Pyaar Ho Gaya,
Aaya Hain Ab Bulaawa ‘Saqib’ Miyaad Beet Chuki, /miyaad=time/
Ki Aaj Khatam Tere Zindagi Ka Intezaar Ho Gaya,