Dil Se Teri Nigah Jigar Tak Utar Gai
Donon Ko Ik Ada Mein Razamand Kar Gai
Shaq Ho Gaya Hai Sina Khusha Lazzat-E-Farag
Takleef-E-Pardadari-E-Zakhm-E-Jigar Gai
Wo Bada-E-Shabana Ki Saramastiyan Kahan
Uthiye Bas Ab K Lazzat-E-Khwab-E-Sahar Gai
Urti Phire Hai Khak Meri Ku-E-Yar Mein
Bare Ab Ai Hawa, Hawas-E-Bal-O-Par Gai
Dekho To Dil Farebi-E-Andaz-E-Naqsh-E-Pa
Mauj-E-Khiram-E-Yar Bhi Kya Gul Katar Gai
Har Bulahawas Ne Husn Parasti Shiar Ki
Ab Abaru-E-Shewa-E-Ahal-E- Nazar Gai
Nazzare Ne Bhi Kam Kiya Wan Naqab Ka
Masti Se Har Nigah Tere Rukh Par Bikhar Gai
Farda-O-Din Ka Tafarruqa Yak Bar Mit Gaya
Kal Tum Gae K Ham Pe Qayamat Guzar Gai
Mara Zamane Ne ‘Asadullah Khan” Tumhen
Wo Walwale Kahan, Wo Jawani Kidhar Gai