Dekhte Hi Dekhte Shaitaan Ban Jate Hin Log
Imaan Ke Bazaar Main Beimaan Ban Jate Hain Log
Jo Shahar Ki Har Gali Ka Jante Hain Har Makaan
Dekhkar Andhe Ko Kyoon Anjaan Ban Jate Hain Log
Kis Kadar Badli Huee Hai Shakal Har Insaan Ki
Kal Khuda The Aaj Kyoon Haiiwaan Ban Jate Hain Log
Pyar Ke Kisse Mohabbat Ki Kahani Bhulkar
Katiloon Jaisee Muskaan Ban Jate Hain Log
Khoon Bhai Ka Bahakar Maa Ka Sauda Kar Rahe
Phir Mulk Aur Kaum Ki Pehchaan Ban Jate Hain Log