Dard Ke Dar Ko Ghar Sa Bana Dia
Ankhon Main Chupe Gham Ko Apna Bana Dia
Dil To Bhool Chuka Hai Mera Dharakna Bhi
Zinda Rehna Bhi Isne Mujhko Bhula Dia

Kya Jurm Hai Mera Ke Hun Main Is Qaid Main
Ab To Naam Bhi Maine Apne Bana Dia
Hain Kayyi Gunaah Is Lie Sunta Nahin Khuda
Warna Uske Dar Ne Nacheez Ko Kya Kya Bana Dia
Kya Pata Kis Manzil Par Mil Jae Ek Kiran
Phir Khwab Soch Kar Humne Dil Ko Behla Dia
Khush Tha Buhat ” Nazar” Par Kismat Na Sath Thi
Ek Rehguzar Ne Uski Rah Ko Mita Dia
Ansuu Yeh Mere Kehte Hain Tu Na Dar Aye ” Nazar”
Aaj Phir Teri Soch Ne Humko Rula Dia