Dard Chupakar Haste Hain,
Ya Hansi Chupakar Rote Hain,
Hume Kahte Hain Woh Dogla,
Magar Chain Se To Woh Rahte Hain,
Kabhi Humein Apna Jism Banaane Ka Kiya Tha Dawa,
Rooh Ki Nas Nas Mein Samaane Ka Kiya Tha Wada,
Kya Karein Hum Hi The Dewaane,
Samajh Paaye Unke Is Sayyanepan Ko,
Aakhir Pyaar Bhi To Kiya Tha Unhe Thoda Zyaada,
Aaj Lagaane Do Unhein Hum Par Ilzaam Par Ilzaam, Hum Chup Rahenge,
Kyonki Hum Aanh Bhi Le Lenge To Unki Woh Ruswaa Ho Jayenge.