Daava-E-Dosti Hai To Khulkar Milaa Karo
Yuun Saahil’on Ki Tarah Na Hat Kar Chala Karo
Hum Bhi To Aaina Hein Per Be-Zubaan Nahin
Parchaay’on Se Apni Na Baatein Kiya Karo
Har Shaks Mere Shahar Ka Tujhko Sanam Kahe
Yun Muskura Ke Sab Ko Na Apna Kaha Karo
Bant Jaaye Na Naseeb Mera Dar-B-Dar Kahiin
Gair’on Kii Mehfil Mein Na Baitha Utha Karo
Maangein Woh Roz Dil Mera Aur Toadkar Kahein
Toote Huwe Dilon Ke Na Tukde Chuna Karo