Chu Kar Main Ehsaas Ko Tere Sandal Sa Ho Jata Hoon
Aur Tumhare Saath Rahoon To Badal Sa Ho Jaata Hoon
Apne Andar Dhundne Se Bhi Apni Zaat Nahi Milti
Aksar Tanha Lamhon Main Main Jangal Sa Ho Jata Hoon
Uska Lams Churane Ki Khaahish Jab Had Se Badhti Hai
Bas Phir Itna Kar Leta Hoon Anchal Sa Ho Jata Hoon
Waqt Ke Tufaanon Ne Ehsaason Ki Aag Bujha Di Par
Ab Bhi Woh Aawaz De Mujh Ko Pagal Sa Ho Jata Hoon
Barkha Rut Main Bunden Jab Dahrti Pe Chan Chan Karti Hain
Khuwaab- O -Khayal Ki Duniya Main Main Payal Sa Ho Jata Hoon
Yun To Firaaqh- E- Yaar Ke Lamhe Hans Ke Jhelta Rehta Hoon
Kabhi Kabhi Bas Aankh Se Behte Kaajal Sa Ho Jata Hoon
Baal Khule Masoom Sa Chehra Aam Si Woh Aik Ladki Hai
Par Jane Kyun Dekh Ke Us Ko Pagal Sa Ho Jata Hoon
Likhte Likhte Mujh Pe Asgher Aisa Waqt Bhi Aata Hai
Bhigi Palkon Ki Maanind Main Bojhal Sa Ho Jata Hoon