Chehraa Uska Har Sou Har Jagha Dekha
Shauq-E-Deed Aisi K Bhar Nigha Dekha
(Bhar Nigha=deedar Ka Itna Shauq K Nighaon Mein Bhar Liya/bhar K Dekha)
Hoon Hairan Apni Alam-E-Deewangi Per
Deewar-E-Dil Pe Naam Uska Likha Dekha
Bohat Mudat Hoyi Hay Us Se Milay Hoye
Bad Us Ke Mausam-E-Rung Phika Dekha
(Mausam-E-Rung Phika=berung Mausam)
Kahan Se Laaon Woh Piyasi Mohabbat K
In Ankhoon Ko Ashkoon Se Bhigha Dekha
Kehtay Tu Woh Bhi Bohat Khoob Hain Per
Haathoon Mein Aaj Us K Mera Likha Dekha
Khair Ho Aman, Hain Gulnaar Woh Bhi Aaj
Bad Naam Apne Jo Mera Naam Likha Dekha