Bewafayee Kare Zindagi Hii Agar
Kya Umeedein Kisiise Rakhe Phir Bashar (Bashar = Aadmi)
Aarjoo-Ye-Wafa Kya Mai Unse Karu (Aarjoo-Ye-Wafa = Wafa Ki Apeksha)
Wo Bi Samjhe Khilauna Jo Dil Ko Agar
Kisliye Poochthe Ho Pata Tum Mujhe
Ranjo-Gam Se Gira Jo, Wahii Mera Ghar ( Ranjo-Gam = Dukh-Dard)
Kis Khata Ki Saza Ye Mujhe Mil Rahi
Zindagi Kyu Huyee Es Kadar Darbadar
Aasoowon Ke Sahare Hai Chalna Mujhe
Ho Mubarak Tumhe Ye Suhana Safar
Dard Mera Na Jana Kisii Ne Kabi
Chaah Sabko Hii Mujhse Wafa Ki Magar
Zakham Dil Ko Mile Hai Sada
Aur De Bi Sakhe Kya Mujhe Ye Shehar..