Bad Mudat Mili Hay, Ankhain Jis K Liye Tarsi Thi
Kaheen Ankhoon Mei Uski, Nidaamat Chupi Thi
(Bad Mudat=kafi Time Baad, Nidaamat=sharmindagi)
Kahan Hay Woh Ankhain Jismay Ek Chamak Thi
Mehfil Hay Aaj Berang Asi Tu Uski Aamad Na Thi
(Chamak=roshni, Aamad=aana Mehfil Mei)
Kehnay Ko Tha Bohat Magar, Ajab Bey-Basi Thi
Toot Na Jata Bharam Uska Saamnay Jo Khari Thi
(Bharam=ego)
Larztay Hoont, Beqaraar Dil,Qayamat Ki Ghari Thi
Aansoo Se Bhari Yeh Ankhain Aaj Sehara Bani Thi
(Sehara=desert)
Aankhoon Mein Meri Bass Wohi Ek Nazar Basi Thi
Zikr-E-Mohabbat Pe Uski Nazar Jo Mujh Pe Uthi Thi
(Zikr-E-Mohabbat=mohabbat Ka Zikar)
Aman,Aaye Woh Aaj Tu Maut Sarahanay Khari Thi
Kya Karta Khuda,Zindagi Hi Meri Bewafa Bani Thi
(Sarahanay=nazdeek/paas/qareeb/saath Mein)