Aye Raste Hum Bhi Musafir Hain Apni Wafa Hamare Naam Likhna
Subatein To Dayar-E-Ishq Ke Aham Mod Hain Na Tum Unhain Anjam Likhna
Chalo Us Ne Ham Ko Be Wafayi Ke Qabil To Samjha
Aye Khuda! Na Aur Kisi Ki Taqdeer Main Aisa Talkh Jaam Likhna
Aasman Pe Jab Shafaq Phut Ti Hai To Woh Pari-E-Saba Yaad Aaye
Kahan Ka Insaf Hai Yeh Koshish Karne Wale Ko Nakam Likhna
Kaainat Ke Khaliq Ke Kalaam Ko Woh Shayri Kehte The
Socho Logon! Kia Hai Mushkil Aise Khuda Ke Liye Kitab-E-Ilham Likhna
Bina Kisi Dar Ke Baatil Ke Khilaf Ailan-E-Jang Karna Tum
Jab Likhna Tehreer-E-Haq Ko Be Lagaam Likhna
Us Haseen Ittefaq Pe Geet Ghazal Aur Jaane Kia Kia Likha
Woh Paikar-E-Husan Aise Ke Din Khatam Ho Jaye To Shaam Likhna
Ishq Muhabbat Husan Waghaira Pe Duniya Likhti Rehti Hai
Asgher ” Dard-E-Dil Ko Jo Sad-E-Bab Kare Aisa Tum Kalaam Likhna