*Asraa-E-Aalam Me.N Muhabbat Sa Azeem Raaz Kaha.N
*Ahaal-E-Duniya Ka *Gam-Gusaar Sa Andaaz Kaha.N
Asraa-E-Aalam = Whole World
Ahaal-E-Duniya = People Of The World
Gam-Gusaar = Sympathizer

Yu.N Bikhre Bistar Pe Sadiyo.N Ke Ho Thhake Haare Jaise
Warna Ishq Ki Raah Pe Chain-O-Sukoon Sa Alfaaz Kaha.N
Har Lehaaza *Tajribaah Hue Hai.N *Zaat-E-Ushshaaq Se
Mere Mehboob Sa Logo.N Me.N *Khiraam-E-Naaz Kaha.N
Tajribaah = Experience
Zaat-E-Ushshaaq = Personality Of Lovers
Khiraam-E-Naaz = Coquettish Way Of Walking
Ye Ashq Hee Gustaakh Rahe Lamha-E-Judaai Ke Dauraan
Didaar-E-Yaar Ke Siva Ankho.N Ko Kisi Ki *Niyaaz Kaha.N
Niyaaz = Desir
Dar Pe Pehare Lagaa Diye *Harzah Zamaane Ne ”Pooja”
Kon Samjhaye Khwaabo.N Pe *Paabandi-E-Parvaaz Kaha.N
Harzah = Nonsense
Pabandi-E-Parvaaz = Restrictions On Flight