Apni Hi Khusbooyon Mein Mehakta Hua Mila,
Her Sakhsh Jaise Sheep Mein Simta Hua Mila.
Kaisa Ajeeb Sahar Hai, Kaise Ajeeb Log,
Her Ek Kuchh Talash Sa Karata Hua Mila.
Pehle Hi Ag Mein The, Hawa Aur Chal Gayi,
Dil Doston Ke Beech Sulgata Hua Mila.
Na Waqt Raha Logon Ke Dilon Mein,
Daman Ulphat Ka Ab Ghatata Hua Mila.
Koosboo Ke Batein Karta Hai Jo Ab,
Phoolon Ko Wohi Kuchalta Hua Mila.
Kabhi Kudh Se Jo Mulakat Ho Gayi,
Tanhayion Ka Jism Pheeghalta Hua Mila.
Main Bahut Door Yuhin Chalta Raha,
Bahut Der Tak Tum Yad Ate Rahe.
Na Jane Kya Ho Gaya Tha Mujhe,
Ki Main Chalta Raha, Bas Chalta Raha.
Aur Jab Dekha Mudkar Peechhe,
To Laga Bahut Hi Door Neekal Aya Hun.
Sayad Ye Bhi Pata Nahin Ki Pheer,
Wapas Aa Bhi Paoonga Ki Nahin.
Per Tumhari Yadein, Tumhare Sapne To,
Hamesa Hi Rahengein Mere Pas, Yuhin.
Jo Mujhe Yuhin Ansun Chalatein Rahenge,
Aur Kya Chahiye Mujhe Meri Jindagi Se….
Bas Tumhein Yuhin Pyar Karta Rahun,
Aur Yuhin Chalta Rahun, Tumhe Yad Karte Karte.
Wo Saksh Jate Jate Bada Kam Kar Gaya,
Rushwaiiyon Ka Shahar Mere Nam Kar Gaya.
Adat Thi Meri Sabse Mohabatt Se Bolana,
Mera Khulus Hi Mujhe Badnam Kar Gaya.
Gir Gaya Humari Ankh Se Ek-Katare-Lahoo,
Jo Bat Raj Ki Thi Use Amm Kar Gaya.
Chaha Tha Rah Ke Kanton Mein Hansta Rahoo Magar,
Koshis Ko Mere Phool Hi Nakam Kar Gaya.
Tum Na Hoge Mere Ye To Mujhe Pata Na Tha,
Itraf Ka Hausala Mujhe Goomnam Kar Gaya.
Sahil Main Jisake Waste Ghar Chhod Aya Tha,
Bajar Mein Mujhe Wo Hi Neelam Kar Gaya.