Ajj Phir Meri Tanhayi Ne Mujhe A Ghera , Meri Taraf Dekha Or Boli
Tum Mujhse Bhagte Kiou Ho
Na Koe Jawab Tha Mere Pass Main Keya Bolta Bas Muskara Diya .”
” Phir Mene Ouse Pujha Ki Tum Har Bar Mujhe Dhund Kese Leti Ho
Jawab Tha Ouske Pass Par Wo Muskara Di ”
Or Phir Hum Dono Ke Bich Lamba Sawalo Jawabo Ka Silsla Chala
“Mere Mazi(Past) Ke Raste Par Hum Badi Dur Tak Nikal Aye … Raste Main Mene Apni Yado Ke Darkhto Ko
Dekha Jin Par Ajj Bhi Meri Khushiyo Ke Kharonde(Ghar) The Jin Main Wo Ajj Bhi Rehti Thi ..”
“Mujhe Bataya Geya Ki Es Safar Par Main Gam Ka Mehma Es Liye Khushiyo Se Mil Nahi Sakta
Sheyad Esi Liye Main Tanhayi Se Bhag Raha Tha ”
“Jab Ouske Jane A Waqt Aya To Ousne Phir Se Mujhe Na Dhundne Ka Wada Kiya ”
Ouske Es Wade Par Hum Dono Muskra Diye ….
Ajj Phir Meri Tanhayi Ne Mujhe A Ghera … Ajj Phir Meri Tanhayi Ne Mujhe A Ghera …