Ae Tez Hawa Naraz Na Ho
Iss Dil Main Salamat Hai Ab Tak
Woh Shokhiy-E-Lab, Woh Harf-E-Dua
Woh Naksh-E-Qadam, Woh Aks-E-Hina
So Bar Jisay Chooma Hum Ne
So Bar Parastish Ki Jiski
Iss Dil Main Salamat Hai Ab Tak
Woh Gard-E-Alam, Woh Deeda-E-Num
Hum Jis Main Chhupa Kar Rakhtay Thay
Tasveer Bikharti Yaadon Ki
Zanjeer Pighaltay Wa’don Ki
Poonjee Nakam Iraadon Ki
Ay Tez Hawa Naraz Na Ho
Iss Dil Main Salamat Hai Ab Tak
Saman Bichharti Sa’at Ka
Kuch Tukray Garm Dupehron Kay
Kuch Rezay Narm Sawalon Kay
Kuch Dur Anmol Khiyalon Kay
Ik Sacha Roop Haqeeqat Ka
Ik Jhoota Lafz Muhabbat Ka