Aasmaan Koh Choote Hain Log Mohabbat Mein,
Mohabbat Koh Samajhte Hain Shohrat,
Shohrat Isme Paakar Bhi Badnaam Main Ho Gaya.
Ghairo Seh Rehete Hai Log Anjaan Magar,
Apnaa Banaa Kar Kardiya Tumne Paraaya,
Ki Anjaan Zindagi Seh Main Ho Gaya.
Kisse Sune They Mohabbat Mein Bewafaai Ke Magar,
Aaj Shikaar Iska Main Ho Gaya,
Kabhi Baste They Nigaaho Mein Unke,
Aaj Aaena Pehchaanta Nahi Hume,
Pyaari Sa Chehra Humaara Tumse He Kahi Kho Gaya,
Jaan Bhi Woh Maangte Toh De Dete,
Unha Har Gham Haske Le Lete,
Meri Zindagi Ke Saath Khela Tumne Aisa,
Ki Jaan Rehete Bejaan Main Ho Gaya,
Takleef Tumhe Hoti, Toh Khuda Seh Hum Ladte They,
Tum Na Milne Par, Usey Hum Bura Bhi Hum Kehete They,
Pardaa Utaana Chaaha Khuda Ne Bohot, Par Ki Na Khudaai Humne,
Rishta Tumse Rakh Kar, Ruswaa Khuda Seh Main Ho Gaya.
Aapke Khaatir, Zindagi Koh Jaane Ne Dete They,
Judaa Na Ho, Isliye Maut Koh Aana Na Dete They,
Aaj Zindagi Mein Jee Nahi Sakhta,
Aur Apne Janaaze Seh Door Main Ho Gaya.
Mehfile Saji Hain Insaano Ki Dil Behlaane,
Insaano Ki Is Rangeen Zindagi Mein Bhi, Tanha Main Ho Gaya,
Afsaane Pade They Kitaabo Mein Kayi Magar,
Aaj Ek Afsaana Main Ho Gaya.