Aansoo Ka Milan Hasi Se Zindagi Tu Bhi Dekhle
Aise Bhi Badlta Hai Koi Milke Kisise Dekhle
Duniya Ke Yeh Jo Rang Hai Kab Kaise Ha Yeh Badle
Tu Thaam Ke Is Dil Ko Aa Abhi Se Dekhle
Khamoshi Ke Libaas Main Koi Chup Raha Tha Humse
Uski Badlti Ye Berukhi Aaj Bebasi Se Dekhle
Chehre Badal Jate Hai Dil Bhi Badal Jate Hai
Kaise Tootta Hai Ye Dil Kisise Dekhle
Aansoon Ka Milan Hasise Zindagi Tu Bhi Dekhle
Ashko Ke Saila Mein Chand Bundo Ka Sabab Kya Pochte Ho
Rote Hue Bhi Koi Kaise Muskurata Hai Aa Abhi Se Dekhle
Mehfil Main Bhi Tanhai Kaise Nochti Hai
Kisi Joolos Main Yaad Karke Unhe Kabhi Tu Dekhle
Thamle Daman Main Kuch Pal Main Zindagi Ko
Loat K Aye Na Fir Ye Khushi Milke Is Kamise Dekhle
Kash Unki Mohbbat Ko Hum Bhula Dete Magar
Bhule Se Bhi Jo Na Bhul Paye Us Majbori Ko Dekhle
Kal Fir Andhre Dastak Denge Tere Dar Par
Ey Jaan In Tanhaiyon Se Nikal Is Tadapti “Roshni” Ko Dekhle