Aankhon Ke Aage Anjaan Sa Ek Chehra Hai,
Khayalon Me Har Waqt Uski Yaadon Ka Pahra Hai.
Maana Muhabbat Nahi Meri Barson Puraani,
Aa Ke Dekh Judaai Ka Zakhm Fir Bhi Gahra Hai.

Ye Phool Nahi Is Dil Ke Tukde Hain Sanam,
Inpe Sui Chubho Ke Tune Pahna Ye Sehra Hai.
Jis Mod Pe Kabhi Tune Dekha Tha Palat Kar,
Tere Intzaar Me Ek Musafir Wahin Pe Thahra Hai.
Cheekhti Rahi Aanhen Meri Aur Wo But Bani Rahi,
Kisi Ne Bhi Na Suna Saara Shahar Hi Bahra Hai.
Main Jaaun To Kaise Jaaun Usse Milne ‘Shaad’
Ki Us Parizaad Ke Har Or Ek Khudaai Pahra Hai.