Aaj De Rahi Tumko Duaa
Mere Gulshan Ki Aab-O-Hawaa
Mujhe Bhulaa Agar Khushi Mile
Bhulaa Dena Khush Rehna Sadaa
Jab Badli Thi Nigaahen Aapne
Mujhse Chhurraya Tha Pehlu Jab
Bas Do Kadam Pe Thi Manjil
Tha Bas Do Hi Gaz Ka Fasilaa
Ik Zaraa Sa Khayal Aapka
Qayamat Ka Kaam Kar Gaya
Toofan Aaye Mere Daaman Mein
Meri Aankon Se Dariyaa Bahaa
Teri Yaadon Ki Shamma Ko
Ashqon Se Jalaye Rakhna Hai
Hame To Fariyaad Karni Hai
Aage Parvar-Digaar Ki Razaa
Jisne Thukraa Diya Sitaron Ko
Mehki-Mehki Si Baharon Ko
Kuch Khwaab The Kuch Umeeden
Usko Dil Main Apna Deta Kya
Is Zindagi Ki Rehguzar Mein
Youn To Bade Humsafar Mile
Jiska Saath Chahaa Tha Maine
Woh Hi Mere Saath Na Huaa
Khwabon Ki Mahal Toot Chukaa
Phir Se Main Banaun Kaise
Ke Chiraag To Nahin Hai Dil
Jo Bhujaa To Phir Jalaa Liyaa