Chashm-e-Saqi ne ye kia khel recha rakha hai

Koi ‘ZAHID’ koi Mey-khar bna rakha hai

Jo phansa phir na kabhi us ne rehai mangi

Teri Zulfoon ne ajab jaal bicha rakha hai

Hussn ho,Ishq ho dono ka asar yaksaan hai

Chez hay 1 magar Naam juda rakha hai

Sar se dhalti hain to shano pa bikhar jati hain

Tu ne ZULFFON ko bara sar pa charra rakha hai

Teri makhmoor Nigahon se hai Ronak sari

Warna ‘SAQI’ tere My-Khaney mein kya rakha hai…..