Chalo ik baar phir se ajnabi bun jaen hum dono

na main tum se koi umeed rakhon dilnawazi ki

na tum meri taraf dekho galat andaaz nazron se

na meray dil ki dharkan larkharaey meri baton se

na zaher ho tumhari kashmakash ka raaz nazron se

tumhain bhe koi uljhan rookti hai paish qadmi se

mujhay bhe loog kehtay hain k ye jalway paraey hain

meray hamraah bhe ruswaiyan hain meray mazi ki

tumharay saath bhe gozri hoe raton k saaey hain

ta’aruf roug ho jaey tu usko bhoolna behtar

ta’aluq roug ban jaey tu usko toorna acha

wo afsana jisay anjaam tak lana na ho mumkin

uasay ik khoobsorat mour de k bhoolna acha

Chalo ik baar phir se ajnabi bun jaen hum dono.