Bhool ker bhi bhula nahi sakte

Aur hum tujh ko paa nahi sakte,

.

Khud pe ilzaam dhar liya hum ne

Tujh pe tohmat laga nahi sakte,

.

Dil pe likha hai yun tera naam

Chah ker bhi mita nahi sakte,

.

Us ne duniya bhula ker rakh di hai

Hum to lab bhi hila nahi sakte,

.

Bhool jaate hain roz woh yeh keh ker

Hum tum ko bhula nahi sakte.