Bheer mein aik ajnabi ka saamna acha laga

Sab say chup kar woh kisi ka daikhna acha laga

Surmai Aankhon kay neechey phool say khilnay lagay

Kehtay kehtay kuch kissi ka souchna acha laga

Baat toh kuch bhi nahin thi lekin ‘us’ ka aik dum

Haath ko honton pay rakh kar rokna acha laga

Chaa’ey mein cheeni milana us ghari bhaaya bohat

Zair-e-lab woh muskurata ‘shukria’ acha laga

Dil mein kitnay aehad baandhay thay bhulanay kay ussay

Woh mila toh sab iraaday torna acha laga

Uss udoo-e-jaan ko Amjad~ bura kaisay kahoon

Jab bhi Aaya saamnay woh be-wafa acha laga